hazar rup farozan hain raushni ki tarah

hazar rup farozan hain raushni ki tarah
wo apne rang mein tanha hai chandni ki tarah

yahi nahin ki zamane se rasm-o-rah na ki
hum apne ghar mein bhi rahte hain ajnabi ki tarah

julus wale makanon ko phunk bhi dete
yahi bahut hai ki guzre hain aadmi ki tarah

jidhar nigah uthao dikhai deta hai
tera wajud manazir mein dilkashi ki tarah

wo tu nahin tha ki main hi badal gaya ai dost
tere qarib se guzra hun ajnabi ki tarah

bhatak raha hun samundar ki justuju mein 'ziya'
mera wajud hai bahti hui nadi ki tarah


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close