meri nigah bhi mujhe pahchanti nahin

meri nigah bhi mujhe pahchanti nahin
haalanki tere shahr mein main ajnabi nahin

ranjur dhup se hun na hun chandni se khush
daim jahan mein dhup nahin chandni nahin

shadabi-e-chaman ki nishani yahi to hai
wo shakh-e-khushk jo kabhi hoti hari nahin

dharti hile hawaen chalen bijliyan giren
ek shakh hai darakht ko jo chhodti nahin

un se ummid-e-dad-e-ghazal kis liye 'ziya'
ye sha'iri hai aaj ki na-sha'iri nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close