hazar sahra the raste mein yar kya karta jo chal pada tha to fikr-e-ghubar kya karta kabhi jo thik se khud ko samajh nahin paya wo dusron pe bhala e'tibar kya karta chalo ye mana ki izhaar bhi zaruri hai so ek bar kiya, bar bar kya karta isi liye to dar-e-aina bhi wa na kiya jo so rahe hain unhen hoshiyar kya karta wo apne khwab ki tafsir khud na kar paya jahan bhar pe use aashkar kya karta agar wo karne pe aata to kuchh bhi kar jata ye soch mat ki akela sharar kya karta siwae ye ki wo apne bhi zakhm taza kare mere ghamon pe mera gham-gusar kya karta bas ek phul ki khatir bahaar mangi thi ruton se warna main qaul-o-qarar kya karta mera lahu hi kahani ka rang tha 'jawwad' kahani-kar use rang-dar kya karta