phir chhidi raat baat phulon ki raat hai ya baraat phulon ki phul ke haar phul ke gajre sham phulon ki raat phulon ki aap ka sath sath phulon ka aap ki baat baat phulon ki nazren milti hain jam milte hain mil rahi hai hayat phulon ki kaun deta hai jaan phulon par kaun karta hai baat phulon ki wo sharafat to dil ke sath gai lut gai kaenat phulon ki ab kise hai dimagh-e-tohmat-e-ishq kaun sunta hai baat phulon ki mere dil mein surur-e-subh-e-bahaar teri aankhon mein raat phulon ki phul khilte rahenge duniya mein roz niklegi baat phulon ki ye mahakti hui ghazal 'makhdum' jaise sahra mein raat phulon ki