hazar shukr kabhi tera aasra na gaya magar ye hai dil-e-adam ki waswasa na gaya wo jab ki zist bhi ek fan thi wo zamana gaya ab ek chikh ki andaz-e-shairana gaya bahut hi shor tha ahal junun ka par ab ke khirad se aa ke koi zor aazma na gaya chali hai ab ke baras wo hawa-e-shiddat-e-barf dayar-e-dil ki taraf koi qafila na gaya bahut hi sasti hai bazar-e-jaan mein jins-e-wafa are ye qaht-talab dil ka karkhana gaya main tod tod ke khud ko banata rahta hun ab ek umr hui phir bhi bachpana na gaya bas ek ghunt mohabbat ka pi ke pachhtae tamam umr wo ek talkh zaiqa na gaya kabhi bikhar gae baaton mein misl-e-nighat-e-gul kabhi kali ki tarah munh se kuchh kaha na gaya guman ye tha ki bas do-qadam hai us ki gali qadam uthe to yahi do-qadam chala na gaya main ek barg-e-khizan-dida hun zamin ka bojh hawa-e-dahr tere dosh par uda na gaya ba-rang-e-gul rahe hum bhi mizaj-dan-e-bahaar bas ek bar hanse phir kabhi hansa na gaya ab aao din ki kahani likhen koi 'baqar' ki raat khatm hui raat ka fasana gaya