na to apne ghar mein qarar hai na teri gali mein qayam hai teri zulf o rukh ka farefta kahin subh hai kahin sham hai tere ek na hone se saqiya na wo mai na shisha-o-jam hai na wo subh ab meri subh hai na wo sham ab meri sham hai na to chakhna jis ka azab hai na to pina jis ka haram hai sar-e-bazm saqi ne di wo mai ki surur jis ka mudam hai main duaen dun to wo galiyan karen baat baat par bhabtiyan ye ajib taur-o-tariq hain ye ajib tarz-e-kalam hai wo sitam se baz na aaenge yunhi zulm karte hi jaenge unhen kya mare ki jiye koi unhen apne kaam se kaam hai mera dil dahalne laga abhi do ghadi tu dur hai ham-nashin khabar-e-visal nahin suni ye meri qaza ka payam hai bache kis tarah se mariz-e-gham na tum aa sako na bula sako yahi haalaten hain to dekhna koi dam mein qissa tamam hai pise dil hazaron tadap gae jo sisak rahe the wo mar gae uthe fitne hashr bapa hua ye ajib tarz-e-khiram hai ajab aashiqon ki namaz hai naya 'bedam' un ka niyaz hai ki qayam hai na quud hai na to sajda hai na salam hai