hazar wade kiye hain tum ne kabhi kisi ko wafa na karna chalo usi par jo ghair kah den kahin hamara kaha na karna agar na sunte ho baat meri to sabr aa jae ji ko mere sitam hai un ko khamosh rahna ghazab hai sun kar suna na karna khushi hai un ko ye jaanta hun magar main rakhne ko baat apni kahun ye un se ki baad-e-murdan tum aa ke matam mera na karna wo jaanen ishq-o-hawas ko jab tak hayat dushman ki hai ghanimat badhegi us se hi qadr apni ki ghaarat us ko khuda na karna sabab maraz ka hai tark-e-adat yahan yahan hain dard-o-alam ki khugar yahi samajhna dawa hamari ki chaara-sazo dawa na karna agar hai aana to ab bhi aao na tang aa kar wo kuchh karen hum ki jis ko sun kar kahe zamana kiya wo us ne jo tha na karna ye ek muddat ki hai tawaqqoa mita na dena ilahi is ko agar hai manzur pas us ka zuhur roz-e-jaza na karna hamein to marna hai aakhir ek din tumhaare sar ho ke mar rahenge satae jaana tumhein qasam hai kami na karna khata na karna bata rahe hain falak ko dushman wo muntaqim hai kare jo chahe uthe hue hain jo hath apne tasawwur us ko dua na karna kahen adu ki buraiyan kya mile ho us se milo wa-lekin batae dete hain is liye hum ki hum se aa kar gila na karna labon pe rahna ki jab tak ummid-e-amad us ki hai mujh ko baqi kare na wada wafa agar wo to mujh se ai jaan wafa na karna yahin ho apna sa haal dushman mile na dozakh bala se us ko na nikle jab tak ye hasrat apni ilahi mahshar bapa na karna haya ka parda hai warna tum to hue pasheman-e-jang-e-dushman nahin ho fikr musalahat mein to hum se mil kar haya na karna sahenge jo kuchh padegi hum par bala mein phanste ho kis liye tum agar hai manzur khair 'salik' to zikr un se mera na karna