insan-e-hawas-pesha se kya ho nahin sakta majbur hai is se ki khuda ho nahin sakta wo uqda mere kaam mein taqdir ne dala jo nakhun-e-tadbir se wa ho nahin sakta dahshat se koi nam bhi leta nahin warna is bazm mein kya zikr mera ho nahin sakta kyun kar ho haris-e-sitam-e-ishq ki seri gham rizq-e-muqaddar hai siwa ho nahin sakta dil kyun ki khadang-e-nigah-e-yar se bach jae ye tir qaza ka hai khata ho nahin sakta tamkin se na dekhe jo kabhi aaina jhuk kar wo murtakib-e-sharm-o-haya ho nahin sakta matam-zada ke hath se ghabra na shab-e-wasl aadat hai ki sine se juda ho nahin sakta kahne pe chale dil ke abas ye bhi na jaana gumrah kabhi rah-numa ho nahin sakta hai chaal teri bais-e-asudgi-e-halq khajlat ke sabab hashr bapa ho nahin sakta ye dard hai tera hi ki hai jaan se shirin har dard mein zalim ye maza ho nahin sakta ai tair-e-jaan shikwa-e-taklif-e-qafas kyun kya tu qafas-e-tan se riha ho nahin sakta ghairat hai jo mujh mein to wo kahte hain sar-e-bazm parwane se jo kaam hua ho nahin sakta wo gham-zada bante hain meri nash pe lekin dil-khush hai ki lab nauha-sara ho nahin sakta hum zamzama-sanj-e-arni ban nahin sakte tu baam pe kya jalwa-numa ho nahin sakta main is qadar achchha to nahin hun ki bahar aaun mansur ne dawa jo kiya ho nahin sakta main us nigah-e-naz ka mahkum hun 'salik' wabasta-e-ahkaam-e-qaza ho nahin sakta