hazar zakhm hain dil par jigar pe khae hue magar mile jo kisi se to muskurae hue kuchh is ada se wo aae nazar jhukae hue tamam rah gae shikwe zaban pe aae hue udhar to saghar-o-paimana wale rahte hain udhar kahan chale waiz qadam badhae hue badho kuchh aur ki tariki-e-jafa kam ho isi tarah se charagh-e-wafa jalae hue hamein satane se baz aaoge yaqin to nahin tumhaare kitne hi wade hain aazmae hue tumhaare tir-e-nazar ko kisi ne kuchh na kaha hamari aah ko hain dastan banae hue hamara zikr aur is mai-kade mein ai 'asi' yahan to shaikh-o-barahman hain dagmagae hue