hazaron lafz hain lekin har ek ki jeb khali hai ye iflas-e-libas-e-shaeri yaro misali hai lage hain kan aawazon pe lekin lafz gunge hain guzarte mausamon ki dastan sab se nirali hai kisi tarif hi ki raushni mein aankh khulti hai batane ki zarurat hai ye kali raat kali hai hamin tanha nahin hain justuju ki daud mein lekin hamin se kis liye phir aaj har zarra sawali hai ye yaktai hamari hum se hi mansub hai 'hamid' ye apni waza apni tarz khud hum ne nikali hai