gasht mein hai meri nazar kucha-ba-kucha dar-ba-dar

gasht mein hai meri nazar kucha-ba-kucha dar-ba-dar
phirne lagi idhar-udhar kucha-ba-kucha dar-ba-dar

surat-e-khak ki basar kucha-ba-kucha dar-ba-dar
phirta raha hun umr bhar kucha-ba-kucha dar-ba-dar

kaun hai tu kahan hai tu milta nahin mujhe pata
dhum hai teri is qadar kucha-ba-kucha dar-ba-dar

chain nahin kisi jagah phirta hun qais ki tarah
duniya mein sab ko chhod kar kucha-ba-kucha dar-ba-dar

nalan idhar hai dil mera jab se koi juda hua
dhundhti hai udhar nazar kucha-ba-kucha dar-ba-dar

haal kuchh aur ho gaya pad gae lale jaan ke
thokaren khain is qadar kucha-ba-kucha dar-ba-dar

dil tha kisi ki yaad thi ashk the aur aah thi
rota raha hun umr bhar kucha-ba-kucha dar-ba-dar

dil tha mera makan-e-dost dil hi mein tha maqam-e-dost
phir bhi talash ki magar kucha-ba-kucha dar-ba-dar

dair-o-haram mein kab mila samne wo kabhi na tha
dhunden use kidhar kidhar kidhar kucha-ba-kucha dar-ba-dar

chain use kahin nahin phirta hai 'hamid'-e-hazin
thame hue dil-o-jigar kucha-ba-kucha dar-ba-dar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close