hazaron raaz nihan hain dahan ke parde mein

hazaron raaz nihan hain dahan ke parde mein
karodon nukte hain ek ek sukhan ke parde mein

nihan hai shahid-e-matlab sukhan ke parde mein
zaban bol rahi hai dahan ke parde mein

basa hai itr-e-mohabbat se jama-e-hasti
chhupa hai kaun gul is pairahan ke parde mein

nikal laya unhen shauq khud-numai ka
wo aisi shan se baithe the ban ke parde mein

ghazab ka parda-nashin hai wo shokh harjai
har anjuman mein hai har anjuman ke parde mein

khula sabab hamein laila ki jama-zebi ka
ki ruh-e-qais hai us pairahan ke parde mein

daron pe jin ke the zarbaft ke pade parde
us us makan ke makin hain kafan ke parde mein

jo dekha ahl-e-basirat ne donon ko to kaha
huzur hi hain husain-o-hasan ke parde mein

najat ahl-e-gunah ko kahin nahin 'akbar'
abas chhupa hai tu ja kar kafan ke parde mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close