hai hamari ruh shabnam ru-e-dilbar aaftab

hai hamari ruh shabnam ru-e-dilbar aaftab
khinch lega is ko jab nikla chamak kar aaftab

aap ka naqsh-e-kaf-e-pa kar na de mahshar bapa
is ko dekha aur utar aaya zamin par aaftab

hai kisi parda-nashin ki be-shak is ko justuju
kuchh to bais hai jo yun phirta hai ghar ghar aaftab

jalwa-gah-e-yar ka aalam nazar aaya kuchh aur
kho gaya hai mil ke zarron mein yahan par aaftab

mera dagh-e-hijr bhi to hoga aakhir mere sath
dekhna hai hashr mein niklega kyunkar aaftab

naqsh-e-pa ne aap ke donon ko be-khud kar diya
mah-e-nau gardish mein hai khata hai chakkar aaftab

ye teri khak-e-qadam ka zarra hai malum hai
ho gaya charkh-e-chahaarum par pahunch kar aaftab

aasman ke sabz parde mein koi mashuq hai
sar ka zewar chand hai gardan ka zewar aaftab

husn ki garmi badhi rukh par jawani ki hai dhup
din chadha aane laga hai munh ke upar aaftab

ye hai shan-e-bu-turabi ye hai faiz-e-lam-yazal
kar diya hai jis ne har zarre ko 'akbar' aaftab


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close