hazaron sar kisi ke panw par dekhe nahin jate

hazaron sar kisi ke panw par dekhe nahin jate
nizam-e-zar ke ye zer-o-zabar dekhe nahin jate

ahate ye riwajon ke ye diwaren samajon ki
dilon ke shahar mein patthar ke ghar dekhe nahin jate

ulat do in naqabon ko ye parde chaak kar dalo
ghataon ke lapete mein qamar dekhe nahin jate

masarrat jin se bargashta aziyyat jaan ka hissa
ye lashe zindagi ke dosh par dekhe nahin jate

kisi ka zikr hi chhedo ki dil ke dagh raushan hon
ye munh kale andhere raat bhar dekhe nahin jate

lifafa sirf badla hai abhi mazmun nahin badla
wahi rahbar ba-andaz-e-digar dekhe nahin jate

nazar se jab nazar milti hai aalam aur hota hai
utar aate hain wo dil mein magar dekhe nahin jate

kisi ka dil hatheli par tumhaari kya qayamat hai
ye tukde kanch ke yun aanch par dekhe nahin jate

kabhi aankhen kabhi hum dil kabhi jaan tak bichhate hain
gulon ke panw 'afsar' khak par dekhe nahin jate


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close