chain aata nahin un se mulaqat kiye bin bolen na wo main rahti nahin baat kiye bin kambakht hawaon ne ye kya keh diya un se kyon abr ude jate hain barsat kiye bin mai aa gai ghar mein ye khabar shaikh na sun len laut aaenge masjid se munajat kiye bin shayad unhen dar ho main shikayat karungi aae the gae pursish-e-haalat kiye bin tum un se koi baat ishaaron mein na karna kam-fahm na manenge sawalat kiye bin sultan ko apna koi shahkar na kar pesh chhodega na wo tujh ko qalam hath kiye bin kya waza banate hain siyasat ke mashaikh aabid nazar aate hain ibaadat kiye bin