hazaron tarah apna dard hum us ko sunate hain magar taswir ko har haal mein taswir pate hain bujha de ai hawa-e-tund madfan ke charaghon ko siyah-bakhti mein ye ek bad-numa dhabba lagate hain murattab kar gaya ek ishq ka qanun duniya mein wo diwane hain jo majnun ko diwana batate hain usi mahfil se main rota hua aaya hun ai 'asi' ishaare mein jahan lakhon muqaddar badle jate hain