ajib shahr ka naqsha dikhai deta hai jidhar bhi dekho andhera dikhai deta hai nazar nazar ki hai aur apne apne zarf ki baat mujhe to qatre mein dariya dikhai deta hai bura kahe jise duniya bura nahin hota meri nazar mein wo achchha dikhai deta hai nahin fareb-e-nazar ye yahi haqiqat hai mujhe to shahr bhi sahra dikhai deta hai hain sirf kahne ko bijli ke qumqume raushan har ek samt andhera dikhai deta hai ajib haal hai sailab ban gae sahra jise bhi dekhiye pyasa dikhai deta hai