hiddat-o-habs pe tanqid nahin kar sakte

hiddat-o-habs pe tanqid nahin kar sakte
kyon hum aisa mere khurshid nahin kar sakte

karni pad jae wazahat pe wazahat lekin
hum teri baat ki tardid nahin kar sakte

jab tera samna hota hai to ai sehr-jamal
'arz kar sakte hain takid nahin kar sakte

misl-e-auraq-e-pareshan hai kitab-e-hasti
nuskha-e-dard ki taswid nahin kar sakte

jo mohabbat ki haqiqat se karen sarf-e-nazar
wo kabhi 'ahd ki tajdid nahin kar sakte

zahr pina to badi dur ka qissa hai 'munir'
log sachchai ki taid nahin kar sakte


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close