hijab-e-ganj-e-maKHfi mein nihan the

hijab-e-ganj-e-makhfi mein nihan the
ilahi hum kahan aae kahan the

kisi ne bhi na dekha hum jahan the
badan the khalq hum manind-e-jaan the

basan-e-nala sar khincha hai bahar
hum ahl-e-dard ke dil mein nihan the

nikala karte the baalon ki khaalen
kabhi hum bhi khayal-e-shairan the

rahe raste mein qadmon se chipat kar
magar hum naqsh-e-pa-e-raftagan the

jab us kuche ki hasil thi gadai
khuda-wand-e-zamin-o-asman the

hue zahir basan-e-nur-e-baatin
dil-e-arbab dil mein hum nihan the

tere kuche mein jab chalna pada tha
basan-e-ashk aankhon se rawan the

kuchh aise nashsha-e-hasti se bahke
nahin jaana kahan aae kahan the

sarapa dard the manind-e-dil hum
maraz the par nasib-e-dostan the

kahan baat us ki ulfat ki kahan dil
ye dirham ganj-e-makhfi mein nihan the

na daude juz siwae kucha-e-yar
magar hum bhi khayal-e-dostan the

na kyun sayyaad waqt-e-marg aata
ki hum bagh-e-jahan mein murgh-e-jaan the

na hargiz bazm-e-saqi mein ruke hum
magar daur-e-sharab-e-arghawan the

hamail the gulu-e-dukht-e-raz mein
ke hum dast-e-khayal-e-maikashan the

rahi raaton ko aksar sair-e-aflak
magar hum tir-e-ah-e-be-kasan the

kahan dala khalal wasl-e-aduain
gajar hi the na hum bang-e-azan the

bahaar-e-bagh hasti thi hamin se
nazar se go ba-rang-e-bu nihan the

ayan aise ke har shai mein nihan hum
nihan aise ki har shai se ayan the

na tha mashuq jis mein ghair-e-ashiq
ajab khalwat thi wo bhi hum jahan the

uthe hum uth gaya parda dui ka
hamare us ke bas hum darmiyan the

chalen zer-e-zamin be baal-o-par aaj
kabhi hum tair-e-arsh-ashiyan the

na shukr us ka kiya talwar kha kar
ki zakhm apne dahan-e-be zaban the

kuchh aisi thi shab-e-gham ki chadhai
ki nale shama-e-bazm-e-lamakan the

gae wo din ke har-dam ye jigar dil
lahu ban ban ke aankhon se rawan the

na rahte the thikane ek saat
kabhi hum bhi hawas-e-ashiqan the

gulistan-e-jahan mein kaun thahra
jo sarw aae nazar sarw-e-rawan the

khuda ne un ko pahunchaya hadaf tak
khadang-e-ah tir-e-be-kaman the

jo us mahfil mein hum jaane bhi pae
piya-pe aansu aankhon se rawan the

na nikli baat munh se sur-e-shama
zaban aisi thi goya be-zaban the

mere pahlu mein kal baithe the aasi
magar jab tak the misl-e-dil tapan the


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close