sana-e-khwaja mere zehn koi mazmun soch janab wadi-e-hairat mein gum hun kya sochun zaban marhala-e-madh pesh hai kuchh bol maja-e-harf-zadan hi nahin hai kya bolun qalam bayaz-e-aqidat mein koi misra likh baja kaha sar-e-taslim kham hai kya likhkhun shuur un ke maqam-e-payambari ko samajh main qaid-e-had mein hun wo be-karan main kya samjhun khirad ba-qadr-e-rasai to un ke ilm ko jaan main na-rasai ka nuqta hun un ko kya jaanun khayal gumbad-e-khazra ki samt ud par khol ye main hun aur ye mere baal-o-par hain kya kholun talab madine chalen nekiyon ke daftar bandh yahan ye rakht-e-safar hi nahin hai kya bandhun nigah dekh ki hai ru-ba-ru dyar-e-jamal hai zarra zarra yahan aaftab kya dekhun dil un se harf-e-dua shewa-e-tamanna mang bila sawal wo daman bharen to kya mangun huzur ijz-e-bayan ko bayan samajh lijiye tihi hai daman-e-fan aastan pe kya laun