hijab-e-zahir-o-baatin bhi darmiyan mein nahin ab imtiyaz koi mere jism-o-jaan mein nahin bhari bahaar mein ab ke ye majra kya hai ki jumbish aaj koi shakh-e-ashiyan mein nahin nazar fareb na ho sehr-e-rang-o-bu to yahan wo kya bahaar hai jo parda-e-khizan mein nahin musafiran-e-adam ka nishan kahan dhunden kahin ghubar bhi us rah-e-karwan mein nahin nazar se ‘wahshi’-e-khasta ke dekhiye to yahan siwae dasht ke kuchh aur gulsitan mein nahin