hijab utthe hain lekin wo ru-ba-ru to nahin sharik-e-ishq kahin koi aarzu to nahin ye khud-e-farebi-e-ehsas-e-arzu to nahin teri talash kahin apni justuju to nahin sukut wo bhi musalsal sukut kya mani kahin yahi tera andaz-e-guftugu to nahin unhen bhi kar diya betab-e-arzu kis ne meri nigah-e-mohabbat kahin ye tu to nahin kahan ye ishq ka aalam kahan wo husn-e-tamam ye sochta hun ki main apne ru-ba-ru to nahin nigah-e-shauq se ghafil samajh na jalwaon ko sharab kuchh bhi ho be-gana-e-subu to nahin khushi se tark-e-mohabbat ka ahd le ai dost magar ye dekh tera dil lahu lahu to nahin na gard-e-rah hai rukh par na aankh mein aansu ye justuju bhi sahi us ki justuju to nahin chaman mein rakhte hain kante bhi ek maqam ai dost faqat gulon se hi gulshan ki aabru to nahin