jis aaine mein bhi jhanka nazar usi se mili mujhe to apni bhi yaro khabar usi se mili badal badal ke chala samt o rahguzar bhi magar wo ek maqam ki har rahguzar usi se mili hum aise koi hunar-mand bhi na the phir bhi wo qadr-dan tha ki dad-e-hunar usi se mili wo kaun hain jo banate hain apni duniya khud hamein to rone ko bhi chashm-e-tar usi se mili ajab tha shakhs jo phirta tha khud bana talwar chali jo tegh to mujh ko sipar usi se mili qadam qadam pe the raste mein mah-washon ke hujum mili kisi se to ja kar nazar usi se mili na kisht-zaron mein dekha jise na baghon mein har ek fasl magar fasl par usi se mili tamam umr gurezan raha tha jis se main qadam lahad mein jo rakkhe kamar usi se mili basirat-e-nigah-o-dil padi nahin milti mili jise bhi ye daulat 'umar' usi se mili