hijr-e-be-mehr se aazad hua chahte hain

hijr-e-be-mehr se aazad hua chahte hain
din nikalta hai to shab-zad hua chahte hain

neamaten pa ke bhi khush hote nahin hain kuchh log
aur kuchh sahib-e-aulad hua chahte hain

kash ek bar wo sine se laga le hum ko
chand lamhe hi sahi shad hua chahte hain

ek lamhe ke liye bhul na paen hum ko
hum unhen misl-e-dua yaad hua chahte hain

ishq wo saat-e-imkan hai jo dhalti hi nahin
hum isi waste farhad hua chahte hain

'altamash' thahra tha ek qafila pyason ka jahan
hum usi dasht ki rudad hua chahte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close