hijr gham ka bayan hai goya yas ki dastan hai goya us ke jaur-o-sitam ka kya kahna zulm mein aasman hai goya panw phailae khub sote hain kunj-e-marqad makan hai goya rukh se zahir hai haal-e-dard-e-firaq qalb ka tarjuman hai goya khal-e-ariz pe yun numayan hai dagh dil ka nishan hai goya hijr mein aah us gul-e-tar ke rang-e-rukh zafran hai goya dard-e-dil kyun kahen na hum un se jab hamari zaban hai goya arsh se aamad-e-mazamin hai ye zamin aasman hai goya 'barq' tum ne ghazal ye khub kahi lucknow ki zaban hai goya