karo na der jahan mein jahan se aage chalo yahan guman-e-khatar hai qadam badhae chalo yahan fareb-e-nsheb-o-faraaz aksar hai khuda ke waste itna na munh uthae chalo shikasta-pa hun kahin sath se na rah jaun mujhe bhi hath zara dosto lagae chalo abhi to husn-e-amal ka zamana baqi hai wahan ki bigdi hui kuchh yahin banae chalo idhar-udhar kahin bhar kar tarara ja na pade samand-e-umr-e-rawan ko zara dabae chalo adam mein tarsoge dard-e-jigar ko ai 'taslim' jo ho sake koi sine pe tir khae chalo