hijr ka chand dard ki naddi yahi surat hai apni duniya ki regzaron mein sang khilte hain jaise baghon mein shakh shakh kali mera ghar hai ki 'mir'-sahib ka uf ye honton pe talkh talkh hansi aa gaya mausam-e-zamistan kya aag ki justuju mein raat kati ku-ba-ku dar-ba-dar bhatakte hue dekh li aaj maut ki bhi gali qufl honton ka tut kar hi raha dil-e-afsurda raat bit chali ek chalti hui ghazal par raat 'rahi'-e-gham-zada ne nazm kahi