thin zaminen gum-shuda aur aasman milta na tha sar pe suraj tha mere par saeban milta na tha be-natija hi rahi hai har safar ki justuju dhundne nikle the jis ko wo jahan milta na tha manzilen aasan thin aur raste makhdush the kashtiyan maujud thin par baadban milta na tha ghonsle khali pade hain aur wahin par aas pas kuchh parinde the ki jin ko aashiyan milta na tha gardish-e-dauran mujhe phir ab wahin le aai hai shahr jo mera tha lekin ham-zaban milta na tha