hijr ka gham bhi nahin wasl ki parwa bhi nahin dil bhi pahlu mein nahin dil ki tamanna bhi nahin nahin darkar nahin mujh ko gham-e-chaara-e-gham han main diwana hun be-shak magar itna bhi nahin tum na sharmao na ghabrao main kahta bhi hun kuchh zikr-e-wada bhi nahin khwahish-e-ifa bhi nahin joshish-e-girya ek eajaz hai warna dil-e-zar aakhir ek bund hai baadal nahin dariya bhi nahin be-khudi hashr mein kya yaad dilaunga use khud mujhe yaad ab us shokh ka wada bhi nahin waqt pursish hai abhi fursat-e-ehsan hai abhi aaiye main abhi zinda bhi hun achchha bhi nahin ab kahan lazzat-e-ehsas-e-taraqqi 'mani' yas mein jazar-o-mad-e-dard-e-tamanna bhi nahin