bojh sa badh jata hai dil par sham-dhale ruk jati hain sansen pal-bhar sham-dhale khil uthta hai us ki yaad ka ek ek rang jag uthte hain kya kya manzar sham-dhale aag mere shiryanon ki lau dene lagi pighla us ki ana ka patthar sham-dhale gahre honge sargoshi ke sae abhi khul jaega lipta bistar sham-dhale kis ko bataun gum hai meri apni pahchan mujh se juda hai mera paikar sham-dhale ek aandhi sa ghatta badhta shor-e-nafas bhar jata hai zehn ke andar sham-dhale dil ke ek goshe mein simat aate hain 'ramz' saton aasman saton samundar sham-dhale