hijr ke gham main kha ke lata hun khwab apne mana ke lata hun sach ki hiddat se kaam lete ho jhut ko main bula ke lata hun kya kaha chand chahiye baitho aaj wo bhi chura ke lata hun khwab mein jo wo sath hoti hai us ko dulhan bana ke lata hun kya tumhein tohfa chahiye thahro hathon par sar saja ke lata hun ishq mujh par asar nahin karta roz us ko ghuma ke lata hun is mohabbat pe tum yaqin kar lo hukm sare khuda ke lata hun dub jata hai kyun yahan har bar raaz main na-khuda ke lata hun kuchh asar hota hi nahin us par sher kitne bana ke lata hun apne hathon se saunpna mujh ko apne gham ko mana ke lata hun