ab talak haq nahin pacchane wah-wah jaan ko apni na jaane wah-wah tum jo karte ho faraz roza namaz mahz aalam ko dikhane wah-wah muft khoi umr dane ghans mein phir kahate ho siyane wah-wah mal-o-zar farzand ki rakh kar talab ho rahe haq sun aghane wah-wah haq ki khilqat mein magar paida hue tum mahz khane pakane wah-wah khopadi ulti undhi ke hath sun ainth chalte ho utane wah-wah hain yagane aqrban khweshan sati aap apne sun begane wah-wah puchhte hain sab nafa nuqsan ko sar diye paisa kamane wah-wah aashiqan ko bolte hain ai 'alim' khalq duniya ke diwane wah-wah