hijr ki be-tabiyan thin hasraton ka josh tha husn ka aaghosh phir bhi husn ka aaghosh tha hum to jis mahfil mein baithe shaghl-e-naw-nosh tha zindagi mein maut bhi aaegi kis ko hosh tha zabt karte karte aakhir phut nikli dil ki baat hans pada gulshan mein jo bhi ghuncha-e-khamosh tha ehtiram-e-husn kahiye ya use rob-e-jamal un ka parde se nikalna tha ki main behosh tha mujh se puchho sarguzasht-e-mai-kada baada-kasho tha kabhi mera bhi aalam main bhi baada-nosh tha laghzishen meri musallam ibtida-e-ishq mein aap ko bhi kuchh khabar thi aap ko bhi hosh tha ishq ka eajaz tha ye ishq ki tasir bhi dil se jo nala nikalta tha sukun-e-gosh tha koi kya samjha meri diwangi ko kya khabar aap ki nazron mein tha itna to mujh ko hosh tha aaj tasbih-o-musallla le ke 'arif' ban gaya kal jo ruh-e-mai-kada tha rind-o-baada-nosh tha