iradon ki shikaston par sana-khwani se pahchana khudaya main ne tujh ko kitni aasani se pahchana kai logon ne phalte phulte pedon se jaana hai magar main ne tujhe sabze ki uryani se pahchana mere sajde isi duniya mein mere kaam aae hain mere qatil ne mujh ko meri peshani se pahchana kabhi dekha ki dil kaise sikudta hai zarurat par kabhi duniya ko paison ki farawani se pahchana rag-o-pai mein dar aata hai 'sharar' har sher ka nashsha ghazal ko barha tartib-e-jismani se pahchana