hijr ki sham aakhiri to nahin meri hai kaun wo meri to nahin baat meri hai ki bichhadte hain manta hun magar kahi to nahin tum ko jaana hai to chali jao aankhen kholin hain tu gai to nahin kya tha wo hir ki kahani mein jo yahan pe hua wahi to nahin muskuraate ho meri ghurbat par ye kisi par sada rahi to nahin ye jo chalti hai zindagi hai meri jis ko rukna tha wo ruki to nahin