kuchh aise tere badan ka yahan nishan khulega ki jis tarah se samundar mein baadban khulega ye sochte hi mere hath-paon phul gae mera nishan kahani mein kab kahan khulega guzarte waqt kisi ko khabar nahin thi yahan ki ek dam se dilon par ye khak-dan khulega main daen-baen kisi aur samt bhi dekhun kise khabar ki kahan se ye darmiyan khulega yahan ye kaun tujhe yaad rakkhega ai 'aziz' ki tere baad hi ye zikr-e-dostan khulega