hijr mein aankhen aansu ban kar bah jati hain socha nain wo bhi us din ghusse mein tha aur main ne bhi roka nain kitna mushkil hai ye kahna main tera ho sakta nain phir bhi main tujh ko ye dukh to de sakta hun dhoka nain ek jagah par thahri aankhen gahri sochen khamoshi kab tak khud pe zulm karoge is ko wapas aana nain is se bichhad kar soch raha hun us ko bhulane ki tarkib log sharab piya karte hain main cigarette tak pita nain shikwe mujh ko bhi hote hain mera dil bhi dukhta hai apne andar ghut jata hun meri jaan main kahta nain kis darja nuqsan uthaya hai hum ishq faqiron ne jitna tujh ko kho baithe hain utna tujh ko paya nain ye pariyon se chehre jin par jaan chhidakte hain hum log mujh ko in pedon ke niche dhup mili hai saya nain kitni ummiden hoti hain un ko ek han sunne ki lekin aksar puchhne walon ke hisse mein aaya nain