kisi se kya kahen sunen agar ghubar ho gae hamin hawa ki zad mein the hamin shikar ho gae siyah dasht khar se kahan do-chaar ho gae ki shauq-e-pairahan tamam tar tar ho gae yahan jo dil mein dagh tha wahi to ek charagh tha wo raat aisa gul hua ki sharmsar ho gae aziz kyun na jaan se ho shikast-e-aina hamein wahan to ek aks tha yahan hazar ho gae hamein to ek umr se padi hai apni jaan ki abhi jo sahilon pe the kahan se par ho gae