hijr mein gham ki chadhai hai ilahi tauba kya nasibe ki burai hai ilahi tauba kitne kanon ke wo kachche hain ki allah ki panah kya raqibon ki ban aai hai ilahi tauba nala ho aah ho fariyaad ho ya zari ho yar tak sab ki rasai hai ilahi tauba ho chuka qatl jahan tegh bhi uthne ki nahin kis qadar narm kalai hai ilahi tauba shaikh-sahib bhi nahin bach ke yahan se nikle kis qadar un ko pilai hai ilahi tauba dil-lagi aap se ki khalq mein badnam hue nek-nami ye kamai hai ilahi tauba chah kar tum ko bhala aur ko kyunkar chahun wah kya dil mein samai hai ilahi tauba le gae chhin ke dil mail nahin chitwan par kitni dida mein safai hai ilahi tauba bosa manga to kaha shukr-e-khuda achchha hun baat kya jald udai hai ilahi tauba nahin malum ki kis shakhs ka munh dekha hai aaj phir gham ki chadhai hai ilahi tauba kucha-e-ishq ki sach puchho to hum ne 'parwin' kis qadar khak udai hai ilahi tauba