KHilaf-e-rasm-e-taghazzul ghazal-sara hun main

khilaf-e-rasm-e-taghazzul ghazal-sara hun main
rubab-e-waqt ki bigdi hui sada hun main

fazaen den na jagah meri be-qarari ko
hawaen mujh ko sula den ki jagta hun main

jaras hun main mera nala meri tabiat hai
ye kyun kahun ki kisi ko pukarta hun main

gira to hun magar ai chashm-e-e'tibar ye dekh
ki kis bulandi-e-mear se gira hun main

meri fughan se shikayat hai sone walon ko
mera gunah yahi hai ki jagta hun main

'jamil' khunki-e-marham ka main nahin qael
jarahaton ko namak-dan dikha raha hun main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close