hijr mein guzri hai us raat ki baaten na karo aap tajdid-e-mulaqat ki baaten na karo dil ne har daur mein duniya se baghawat ki hai dil se tum rasm-o-riwayat ki baaten na karo himmaten qafile walon ki na hon past kahin rahraw-e-gardish-e-haalat ki baaten na karo chahiye josh-e-talab mere shikasta-dil ko aise haalat mein sadmat ki baaten na karo zindagi aur bhi tashrih-talab hai yaro gham ke tapte hue lamhat ki baaten na karo kitne hi zakhm hare hain mere sine mein 'niyaz' aap ab mujh se inayat ki baaten na karo