jab wo kahta hai samundar hai kinaya us ka rang yak-lakht badalta hai sarapa us ka kab pukarega bhala nam bhanwar se mera kab bhala aaega phir mauj mein dariya us ka dil to tahzib-e-ana ka hai parastar magar kya kare koi jo ho jae ishaara us ka kab sanwarega wo taqdir mere lafzon ki kab nazar aaega ashaar mein chehra us ka khud ko is tarah se gumnam kiya hai us ne shahr to shahr raha bhi nahin sahra us ka main to badnam sahi khair koi baat nahin chand jo dekhta rahta hai daricha us ka sath jab donon chale the to kahan chuk hui mera koi bhi nahin aur zamana us ka