hijr mein ho gaya visal ka kya khwab hi ban gaya khayal ka kya khud-numai pe khak dalo tum dekhna shakl-e-be-misal ka kya teri furqat ke din khuda kate ho rahega kabhi visal ka kya dil ke dene mein uzr kis ko hai jaan hi de rahe hain mal ka kya haal us ne hamara puchha hai puchhna ab hamare haal ka kya wasl ki iltija pe bigde kyun sun ke chup ho raho sawal ka kya daur ki aashiqi gunah nahin dekh lete hain dekh-bhaal ka kya zulf ko kyun jakad ke bandha hai us ne bosa liya tha gal ka kya aaj tum kyun malul baithe ho wasl din hai mere visal ka kya jab kaha tum se roz milta hun hans ke kahne lage khayal ka kya qaul ke waqt shart-e-fursat kyun dakhl wade mein ehtimal ka kya ranj de kar jo khush ho ai 'muztar' us ko sadma mere malal ka kya