mere qarib se guzra ek ajnabi ki tarah wo kaj-ada jo mila bhi to zindagi ki tarah mila na tha to guman us pe tha farishton ka jo ab mila hai to lagta hai aadmi ki tarah kiran kiran utar aai hai rauzan-e-dil se kisi hasin ki tamanna bhi raushni ki tarah meri nigah se dekho to ham-zaban ho jao ki dushmani bhi kisi ki hai dosti ki tarah na milne wale kinaron ka nam thahra shauq gurez-pa hai jahan husn ek nadi ki tarah na khul saka to lahu ho ke bah gaya hai dil kabhi khila to mahak uthega kali ki tarah hazar sher hain aur ek khamushi ki ada hazar rang hain aur ek sadgi ki tarah bahut dinon mein mile hain hum aaj 'ishqi' se nahin wo phir bhi koi shakhs hai usi ki tarah