hijr mein nashad duniya se dil-e-muztar gaya aaj apne sath ka ek marne wala mar gaya sunne wale khub roe mere haal-e-zar par yun hi apni umr ka paimana aakhir bhar gaya bazu-e-qatil thakae sakht-jaani ne meri barha is hath se us hath mein khanjar gaya hum wahi gulshan wahi mahfil wahi saman wahi ek saqi kya gaya lutf-e-mai-o-saghar gaya ho gai ghairon ko bhi nakaam marne ki hawas main kisi par jaan de kar kaam apna kar gaya ruh-parwar hai nigah-e-naz qatil ka asar jis ko dekha ji utha jis ko na dekha mar gaya main kabhi roya to wo bole duboya nam-e-ishq aur agar aansu pi liye to dil mein dariya bhar gaya aisi hi ghaflat rahi gar mere haal-e-zar par ek din ahbab sun lenge 'nazar' bhi mar gaya