ishq mein kab ye zaruri hai ki roya jae ye nahin dagh-e-nadamat jise dhoya jae dopahar hijr ki tapti hui sar par hai khadi wasl ki raat ko shikwon mein na khoya jae uljhe ab panja-e-wahshat na garebanon se aaj use sina-a-ada mein gadoya jae ek hi ghunt sahi aaj to pi le zahid kuchh na kuchh zohd ki khushki ko samoya jae jitne bhi dagh raunat ke hain dhul jaenge hauz-e-mai mein tujhe shaikh aaj duboya jae