hijr se marhala-e-zist adam hai hum ko

hijr se marhala-e-zist adam hai hum ko
fasla itna ziyaada hai ki kam hai hum ko

sae se uth ke abhi dhup mein ja baithenge
ghar se sahra to faqat ek qadam hai hum ko

pa-ba-jaulan tere kuche mein bhi khinche lae
shahna-e-shahr se ummid-e-karam hai hum ko

qaht-e-mamura-e-surat se hain patthar aankhen
ab khuda bhi nazar aae to sanam hai hum ko

dekh kya aaina be-jumbish-e-lab kahta hai
jo khamoshi se ho wo baat aham hai hum ko

be-yaqini ko yaqin hai ki hua kuchh bhi nahin
aur ek hadisa aankhon ka bharam hai hum ko

hum kahan aur kahan kucha-e-'ghaalib' 'asim'
jada-e-rah kashish-e-kaf-e-karam hai hum ko


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close