hijr tera teri qurbat ka bahana ho gaya yaad mein teri hamara aana jaana ho gaya aaj tujh ko ghair ke hamrah khush dekha to phir gham jo tha tujh se bichhadne ka tawana ho gaya umr bhar sahra-nawardi ka hua anjam ye rafta rafta dil mein wahshat ka thikana ho gaya sang-bari mein tasalsul ka natija ye hua tang aa kar dil mera aaina-khana ho gaya dekhte hi dekhte tujh se talluq ke sabab main hujum-e-shahr mein ek din yagana ho gaya