tu meri ibtida tu meri intiha main samundar hun tu sahilon ki hawa teri manzil bane mera har rasta main samundar hun tu sahilon ki hawa roz-o-shab mauj-dar-mauj hun dar-ba-dar roz-o-shab sahilon par patakta hun sar hath aata nahin phir bhi daman tera main samundar hun tu sahilon ki hawa meri shoridgi ke ye tufan sab meri khamoshiyon ke ye arman sab kuchh nahin ek teri aarzu ke siwa main samundar hun tu sahilon ki hawa tu hi manzil meri tu hi had hai meri tujh se wabastagi nam-zad hai meri tu na ho gar to main khud mein kho jaunga main samundar hun tu sahilon ki hawa khushbuon se teri ye mahakta safar yun hi jari rahega mere auj par tu masafat meri main tera rasta main samundar hun tu sahilon ki hawa