hijr tha ya visal kis ka tha khwab tha ya khayal kis ka tha samne wo hamare baithe the dil mein un ke khayal kis ka tha ghair se hum ne mat khai to is mein kahiye kamal kis ka tha hum gire hain agar bulandi se dar-haqiqat zawal kis ka tha bach ke nikle jo la-talluq the bach nikalna muhaal kis ka tha reg-e-sahil pe naqsh baqi hai jism wo be-misal kis ka tha sher sunte hain mera kahte hain aisa nazuk khayal kis ka tha baam par chand tha magar phir bhi chandni mein jamal kis ka tha tan hum par hi aa ke tuti hai puchiyega malal kis ka tha haq to ye hai nahin mile un se phir ye collar pe baal kis ka tha puchhiye kya kisi nujumi se waqt kis ka hai sal kis ka tha wo jo rahte hain sirf mazi mein kaise jaanen ki haal kis ka tha dar par chadh gaya 'ayaz' magar kis ne puchha sawal kis ka tha